Dil Ishq Ka Hamesha Harif-e-nabard Tha
dil ishq ka hamesha harif-e-nabard tha
ab jis jagah ki dagh hai yan aage dard tha
ek gard-e-rah tha pai-e-mahmil tamam rah
kis ka ghubar tha ki ye dumbaala gard tha
dil ki shikastagi ne Darae rakha hamein
wan chin jabin par aai ki yan rang zard tha
manind-e-harf safha-e-hasti se uTh gaya
dil bhi mera jarida-e-alam mein fard tha
tha pusta reg-e-baad ye ek waqt karwan
ye gard-baad koi bayaban naward tha
guzri mudam us ki jawanan-e-mast mein
pir-e-mughan bhi turfa koi pir mard tha
aashiq hain hum to 'mir' ke bhi zabt-e-ishq ke
dil jal gaya tha aur nafas lab pe sard tha
(448) Peoples Rate This