Dil Gae Aafat Aai Jaanon Par
dil gae aafat aai jaanon par
ye fasana raha zabanon par
ishq mein hosh o sabr sunte the
rakh gae hath so to kanon par
garche insan hain zamin se wale
hain dimagh un ke aasmanon par
shahr ke shoKH sada-ru laDke
zulm karte hain kya jawanon par
arsh o dil donon ka hai paya buland
sair rahti hai un makanon par
jab se bazar mein hai tujh si mata
bhiD hi rahti hai dukanon par
log sar dene jate hain kab se
yar ke panw ke nishanon par
kaji obash ki hai wo dar-band
Dale phirta hai band shanon par
koi bola na qatl mein mere
mohr ki thi magar dahanon par
yaad mein us ke saq-e-simin ki
de de marun hun hath ranon par
the zamane mein KHarchi jin ki rupe
phansa karte hain un ko aanon par
gham o ghussa hai hisse mein mere
ab maishat hai un hi khanon par
qisse duniya mein 'mir' bahut sune
na rakho gosh un fasanon par
(463) Peoples Rate This