Dil Baham Pahuncha Badan Mein Tab Se Sara Tan Jala
dil baham pahuncha badan mein tab se sara tan jala
aa paDi ye aisi chingari ki pairahan jala
sarkashi hi hai jo dikhlati hai is majlis mein dagh
ho sake to shama san dije rag-e-gardan jala
badar san ab aaKHir aaKHir chha gai mujh par ye aag
warna pahle tha mera jun mah nau daman jala
kab talak dhuni lagae jogiyon ki si rahun
baiThe baiThe dar pe tere to mera aasan jala
garmi us aatish ke par kale se rakhe chashm tab
jab koi meri tarah se dewe sab tan man jala
ho jo minnat se to kya wo shab nashini bagh ki
kaT apni raat ko KHar-o-KHas-e-gulKHan jala
sukhte hi aansuon ke nur aankhon ka gaya
bujh hi jate hain diye jis waqt sab roghan jala
shola afshani nahin ye kuchh nai is aah se
dun lagi hai aisi aisi bhi ki sara ban jala
aag si ek dil mein sulge hai kabhu bhaDki to 'mir'
degi meri haDDiyon ka Dher jun indhan jala
(410) Peoples Rate This