Dard-o-andoh Mein Thahra Jo Raha Main Hi Hun
dard-o-andoh mein Thahra jo raha main hi hun
rang-ru jis ke kabhu munh na chaDha main hi hun
jis pe karte ho sada jaur-o-jafa main hi hun
phir bhi jis ko hai guman tum se wafa mein hi hun
bad kaha main ne raqibon ko to taqsir hui
kyun hai baKHsho bhi bhala sab mein bura main hi hun
apne kuche mein fughan jis ki suno ho har raat
wo jigar-e-soKHta o sina-jala main hi hun
KHar ko jin ne laDi moti ki kar dikhlaya
us bayaban mein wo aabla-pa main hi hun
lutf aane ka hai kya bas nahin ab tab-e-jafa
itna aalam hai bhara jao na kya main hi hun
ruk ke ji ek jahan dusre aalam ko gaya
tan-e-tanha na tere gham mein hua main hi hun
is ada ko to Tak ek sair kar insaf karo
wo bura haiga bhala dosto ya main hi hun
main ye kahta tha ki dil jan ne liya kaun hai wo
yak-ba-yak bol uTha us taraf aa main hi hun
jab kaha main ne ki tu hi hai to phir kahne laga
kya karega tu mera dekhun to ja main hi hun
sunte hi hans ke Tak ek sochiyo kya tu hi tha
jin ne shab ro ke sab ahwal kaha main hi hun
'mir' aawara-e-alam jo suna hai tu ne
KHak-aluda wo ai baad-e-saba main hi hun
kasa-e-sar ko liye mangta didar phire
'mir' wo jaan se bezar gada main hi hun
(694) Peoples Rate This