Daman Wasia Tha To Kahe Ko Chashm Tarsa
daman wasia tha to kahe ko chashm tarsa
rahmat KHuda ki tujh ko ai abr zor barsa
shayad kabab kar kar khaya kabutar un ne
nama uDa phire hai us ki gali mein par sa
wahshi mizaj az-bas manus baadya hain
un ke junun mein jangal apna hua hai ghar sa
jis hath mein raha ki us ki kamar hamesha
us hath marne ka sar par bandha hai kar sa
sab pech ki ye baaten hain shairon ki warna
barik aur nazuk mu kab hai us kamar sa
tarz-e-nigah us ki dil le gai sabhon ke
kya momin o barhaman kya gabr aur tarsa
tum waqif-e-tariq-e-be-taqati nahin ho
yan rah-e-do-qadam hai ab dur ka safar sa
kuchh bhi maash hai ye ki un ne ek chashmak
jab muddaton hamara ji dekhne ko tarsa
Tuk tark-e-ishq kariye laghar bahut hue hum
aadha nahin raha hai ab jism-e-ranj-farsa
waiz ko ye jalan hai shayad ki farbahi se
rahta hai hauz hi mein aksar paDa magar sa
andaz se hai paida sab kuchh KHabar hai us ko
go 'mir' be-sar-o-pa zahir hai be-KHabar sa
(462) Peoples Rate This