Dair-o-haram Se Guzre Ab Dil Hai Ghar Hamara
dair-o-haram se guzre ab dil hai ghar hamara
hai KHatm us aable par sair-o-safar hamara
palkon se teri hum ko kya chashm-dasht ye thi
un barchhiyon ne banTa baham jigar hamara
duniya-o-din ki jaanib mailan ho to kahiye
kya jaaniye ki is bin dil hai kidhar hamara
hain tere aaine ki timsal hum na puchho
is dasht mein nahin hai paida asar hamara
jon subh ab kahan hai tul-e-suKHan ki fursat
qissa hi koi dam ko hai muKHtasar hamara
kuche mein us ke ja kar banta nahin phir aana
KHun ek din girega us KHak par hamara
hai tira-roz apna laDkon ki dosti se
us din hi ko kahe tha aksar pidar hamara
sailab har taraf se aaenge baadiye mein
jon abr rote hoga jis dam guzar hamara
nashw-o-numa hai apni jon gard-baad anokhi
baalida KHak rah se hai ye shajar hamara
yun dur se khaDe ho kya mo'atabar hai rona
daman se bandh daman ai abr-e-tar hamara
jab pas raat rahna aata hai yaad us ka
thamta nahin hai rona do dopahar hamara
us karwan-sara mein kya 'mir' bar kholen
yan kuch lag raha hai sham-o-sahar hamara
(462) Peoples Rate This