Dahr Bhi Mir Turfa-e-maqtal Hai
dahr bhi 'mir' turfa-e-maqtal hai
jo hai so koi dam ko faisal hai
kasrat-e-gham se dil laga rukne
hazrat-e-dil mein aaj danggal hai
rose kahte hain chalne ko KHuban
lekin ab tak to roz-e-awwal hai
chhoD mat naqd waqt-e-nasiya par
aaj jo kuchh hai so kahan kal hai
band ho tujh se ye khula na kabhu
dil hai ya KHana-e-muqaffal hai
sina-chaaki bhi kaam rakhti hai
yahi kar jab talak moattal hai
ab ke hathon mein shauq ke tere
daman-e-baadiya ka aanchal hai
Tak gareban mein sar ko Dal ke dekh
dil bhi kya laq-o-daq jangal hai
hijr bais hai bad-gumani ka
ghairat-e-ishq hai to kab kal hai
mar gaya kohkan isi gham mein
aankh ojhal pahaD ojhal hai
(477) Peoples Rate This