ChhuTta Hi Nahin Ho Jise Aazar-e-mohabbat
chhuTta hi nahin ho jise aazar-e-mohabbat
mayus hun main bhi ki hun bimar-e-mohabbat
imkan nahin jite-ji ho is qaid se aazad
mar jae tabhi chhuTe giraftar-e-mohabbat
taqsir na KHuban ki na jallad ka kuchh jurm
tha dushman-e-jaani mera iqrar-e-mohabbat
har jins ke KHwahan mile bazar-e-jahan mein
lekin na mila koi KHaridar-e-mohabbat
is raaz ko rakh ji hi mein ta ji bache tera
zinhaar jo karta ho tu izhaar-e-mohabbat
har naqsh-e-qadam par tere sar beche hain aashiq
Tuk sair to kar aaj tu bazar-e-mohabbat
kuchh mast hain hum dida-e-pur-KHun-e-jigar se
aaya yahi hai saghar-e-sarshaar-e-mohabbat
bekar na rah ishq mein tu rone se hargiz
ye girya hi hai aab-e-ruKH-e-kar-e-mohabbat
mujh sa hi ho majnun bhi ye kab mane hai aaqil
har sar nahin ai 'mir' saza-war-e-mohabbat
(458) Peoples Rate This