Chhati Jala Kare Hai Soz-e-darun Bala Hai
chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai
ek aag si rahe hai kya jaaniye ki kya hai
main aur tu hain donon majbur-e-taur apne
pesha tera jafa hai shewa mera wafa hai
ru-e-suKHan hai kidhar ahl-e-jahan ka ya rab
sab muttafiq hain is par har ek ka KHuda hai
kuchh be-sabab nahin hai KHatir meri pareshan
dil ka alam juda hai gham jaan ka juda hai
husn un bhi moinon ka tha aap hi suraton mein
is martabe se aage koi chale to kya hai
shadi se gham-e-jahan mein wo chand hum ne paya
hai id ek din to das roz yan daha hai
hai KHasam-jaan-e-ashiq wo mahw-e-naz lekin
har lamha be-adai ye bhi to ek ada hai
ho jae yas jis mein so aashiqi hai warna
har ranj ko shifa hai har dard ko dawa hai
nayab us guhar ki kya hai talash aasan
ji Dubta hai us ka jo tah se aashna hai
mushfiq malaz o qibla kaba KHuda payambar
jis KHat mein shauq se main kya kya use likha hai
tasir-e-ishq dekho wo nama wan pahunch kar
jun kaghaz-e-hawai har su uDa phira hai
hai garche tifl-e-maktab wo shoKH abhi to lekin
jis se mila hai us ka ustad ho mila hai
phirte ho 'mir' sahab sab se jude jude tum
shayad kahin tumhaara dil in dinon laga hai
(496) Peoples Rate This