Chaman Mein Gul Ne Jo Kal Dawa-e-jamal Kiya

chaman mein gul ne jo kal dawa-e-jamal kiya

jamal-e-yar ne munh us ka KHub lal kiya

falak ne aah teri rah mein hum ko paida kar

ba-rang-e-sabza-e-nurasta paemal kiya

rahi thi dam ki kashakash gale mein kuchh baqi

so us ki tegh ne jhagDa hi infisal kiya

meri ab aankhen nahin khultin zof se hamdam

na kah ki nind mein hai tu ye kya KHayal kiya

bahaar-e-rafta phir aai tere tamashe ko

chaman ko yumn-e-qadam ne tere nihaal kiya

jawab-nama siyahi ka apni hai wo zulf

kisu ne hashr ko hum se agar sawal kiya

laga na dil ko kahin kya suna nahin tu ne

jo kuchh ki 'mir' ka is aashiqi ne haal kiya

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaman Mein Gul Ne Jo Kal Dawa-e-jamal Kiya In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Chaman Mein Gul Ne Jo Kal Dawa-e-jamal Kiya is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Chaman Mein Gul Ne Jo Kal Dawa-e-jamal Kiya for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Chaman Mein Gul Ne Jo Kal Dawa-e-jamal Kiya in PDF.