Chalte Ho To Chaman Ko Chaliye Kahte Hain Ki Bahaaran Hai
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaran hai
pat hare hain phul khile hain kam kam baad-o-baran hai
rang hawa se yun Tapke hai jaise sharab chuwate hain
aage ho mai-KHane ke niklo ahd-e-baada-gusaran hai
ishq ke maidan-daron mein bhi marne ka hai wasf bahut
yani musibat aisi uThana kar-e-kar-guzaran hai
dil hai dagh jigar hai TukDe aansu sare KHun hue
lohu pani ek kare ye ishq-e-lala-azaran hai
kohkan o majnun ki KHatir dasht-o-koh mein hum na gae
ishq mein hum ko 'mir' nihayat pas-e-izzat-daran hai
(1118) Peoples Rate This