Chaak Par Chaak Hua Jun Jun Sulaya Humne
chaak par chaak hua jun jun sulaya hum ne
is gareban hi se ab hath uThaya hum ne
hasrat-e-lutf-e-azizan-e-chaman ji mein rahi
sar pe dekha na gul-o-sarwa ka saya hum ne
ji mein tha arsh pe ja bandhiye takiya lekin
bistara KHak hi mein ab to bichhaya hum ne
baad yak umr kahin tum ko jo tanha paya
Darte Darte hi kuchh ahwal sunaya hum ne
yan faqat reKHta hi kahne na aae the hum
chaar din ye bhi tamasha sa dikhaya hum ne
bare kal bagh mein ja murgh-e-chaman se mil kar
KHubi-e-gul ka maza KHub uDaya hum ne
tazgi dagh ki har sham ko be-hech nahin
aah kya jaane diya kis ka bujhaya hum ne
dasht-o-kohsar mein sar mar ke chande tujh bin
qais-o-farhad ko phir yaad dilaya hum ne
bekali se dil-e-betab ki mar guzre the
so tah-e-KHak bhi aaram na paya hum ne
ye sitam taza hua aur ki paiz mein 'mir'
dil KHas-o-KHar se na-chaar lagaya hum ne
(455) Peoples Rate This