Be-yar Shahr Dil Ka Viran Ho Raha Hai
be-yar shahr dil ka viran ho raha hai
dikhlai de jahan tak maidan ho raha hai
is manzil-e-jahan ke bashinde raftani hain
har ek ke han safar ka saman ho raha hai
achchha laga hai shayad aankhon mein yar apni
aaina dekh kar kuchh hairan ho raha hai
gul dekh kar chaman mein tujh ko khila hi ja hai
yani hazar ji se qurban ho raha hai
haal-e-zabun apna poshida kuchh na tha to
sunta na tha ki ye said be-jaan ho raha hai
zalim idhar ki sudh le jun sham-e-subh-gahi
ek aadh dam ka aashiq mehman ho raha hai
qurban-gah-e-mohabbat wo ja hai jis mein har su
dushwar jaan dena aasan ho raha hai
har shab gali mein us ki rote to rahte ho tum
ek roz 'mir' sahab tufan ho raha hai
(486) Peoples Rate This