Betabiyon Mein Tang Hum Aae Hain Jaan Se
betabiyon mein tang hum aae hain jaan se
waqt-e-shakeb KHush ki gaya darmiyan se
dagh-e-faraq-o-hasrat-e-wasl aarzu-e-did
kya kya liye gae tere aashiq jahan se
hum hamushon ka zikr tha shab us ki bazm mein
nikla na harf-e-KHair kasu ki zaban se
aab-e-KHizar se bhi na gai sozish-e-jigar
kya jaaniye ye aag hai kis dudman se
juz ishq jang-e-dahr se mat paDh ki KHush hain hum
us qisse ki kitab mein us dastan se
aane ka is chaman mein sabab bekali hui
jun barq hum taDap ke gire aashiyan se
ab chheD ye rakhi hai ki aashiq hai to kahen
al-qissa KHush guzarti hai us bad-guman se
kine ki mere tujh se na chahega koi dad
main kah marunga apne har ek mehrban se
daghon se hai chaman jigar-e-'mir' dahr mein
un ne bhi gul chune bahut us gulistan se
(488) Peoples Rate This