Be-kasana Ji Giraftari Se Shewan Mein Raha
be-kasana ji giraftari se shewan mein raha
ek dal gham-KHwar rakhte the so gulshan mein raha
panja-e-gul ki tarah diwangi mein hath ko
gar nikala mein gareban se to daman mein raha
shama san jalte rahe lekin na toDa yar se
rishtha-e-ulfat tamami umr gardan mein raha
Dar se us shamshir-zan ke jauhar aaina san
sar se le kar panw tak main gharq aahan mein raha
hum na kahte the ki mat dair-o-haram ki rah chal
ab ye dawa hashr tak shaiKH-o-barahman mein raha
darpai dil hi rahe us chehre ke KHal-e-siyah
Dar hamein un chonton ka roz-e-raushan mein raha
aah kis andaz se guzra bayaban se ki 'mir'
ji har ek naKHchir ka us said-e-afgan mein raha
(508) Peoples Rate This