Ba-rang-e-bu-e-gul Us Bagh Ke Hum Aashna Hote
ba-rang-e-bu-e-gul us bagh ke hum aashna hote
ki hamrah-e-saba Tuk sair karte phir hawa hote
sarapa aarzu hone ne banda kar diya hum ko
wagarna hum KHuda the gar dil-e-be-muddaa hote
falak ai kash hum ko KHak hi rakhta ki is mein hum
ghubar-e-rah hote ya kasu ki KHak-e-pa hote
ilahi kaise hote hain jinhen hai bandagi KHwahish
hamein to sharm daman-gir hoti hai KHuda hote
tu hai kis nahiye se ai dayar-e-ishq kya jaanun
tere bashindagan hum kash sare bewafa hote
ab aise hain ki sanea ke mizaj upar baham pahunche
jo KHatir-KHwah apne hum hue hote to kya hote
kahin jo kuchh malamat gar baja hai 'mir' kya jaanen
unhen malum tab hota ki waise se juda hote
(713) Peoples Rate This