Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4509af2b49b218e7ccd4a71dc8bf1178, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bani Thi Kuchh Ek Us Se Muddat Ke Baad - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Bani Thi Kuchh Ek Us Se Muddat Ke Baad

bani thi kuchh ek us se muddat ke baad

so phir bigDi pahli hi sohbat ke baad

judai ke haalat main kya kahun

qayamat thi ek ek saat ke baad

mua kohkan be-sutun khod kar

ye rahat hui aisi mehnat ke baad

laga aag pani ko dauDe hai tu

ye garmi teri is shararat ke baad

kahe ko hamare kab un ne suna

koi baat mani so minnat ke baad

suKHan ki na taklif hum se karo

lahu Tapke hai ab shikayat ke baad

nazar 'mir' ne kaisi hasrat se ki

bahut roe hum us ki ruKHsat ke baad

(520) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bani Thi Kuchh Ek Us Se Muddat Ke Baad In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Bani Thi Kuchh Ek Us Se Muddat Ke Baad is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Bani Thi Kuchh Ek Us Se Muddat Ke Baad for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Bani Thi Kuchh Ek Us Se Muddat Ke Baad in PDF.