Baghair Dil Ki Ye Qimat Hai Sare Aalam Ki
baghair dil ki ye qimat hai sare aalam ki
kaso se kaam nahin rakhti jins aadam ki
koi ho mahram shoKHi tera to mein puchhun
ki bazm-e-aish jahan kya samajh ke barham ki
hamein to bagh ki taklif se muaf rakho
ki sair-o-gasht nahin rasm ahl-e-matam ki
tanik to lutf se kuchh kah ki jaan-ba-lab hun main
rahi hai baat meri jaan ab koi dam ki
guzarne ko to kaj-o-wakaj apni guzre hai
jafa jo un ne bahut ki to kuchh wafa kam ki
ghire hain dard-o-alam mein firaq ke aise
ki subh-e-id bhi yan sham hai mahram ki
qafas mein 'mir' nahin josh dagh sine par
hawas nikali hai hum ne bhi gul ke mausam ki
(455) Peoples Rate This