Baaten Hamari Yaad Rahen Phir Baaten Aisi Na Suniyega
baaten hamari yaad rahen phir baaten aisi na suniyega
paDhte kisu ko suniyega to der talak sar dhuniyega
sai o talash bahut si rahegi is andaz ke kahne ki
sohbat mein ulma fuzla ki ja kar paDhiye ginyega
dil ki tasalli jab ki hogi guft o shunud se logon ki
aag phunkegi gham ki badan mein us mein jaliye bhuniyega
garm ashaar 'mir' daruna daghon se ye bhar denge
zard-ru shahr mein phiriyega galiyon mein ne gul chuniyega
(427) Peoples Rate This