Aisa Tera Rahguzar Na Hoga
aisa tera rahguzar na hoga
har gam pe jis mein sar na hoga
kya in ne nashe mein mujh ko mara
itna bhi tu be-KHabar na hoga
dhoka hai tamam bahr duniya
dekhega ki honT tar na hoga
aai jo shikast aaine par
ru-e-dil yar idhar na hoga
dashnon se kisi ka itna zalim
TukDe TukDe jigar na hoga
ab dil ke tain diya to samjha
mehnat-zadon ke jigar na hoga
duniya ki na kar tu KHwast-gari
us se kabhu bahra-war na hoga
aa KHana-KHarabi apni mat kar
qahba hai ye us se ghar na hoga
ho us se jahan siyah tad bhi
nale mein mere asar na hoga
phir nauhagari kahan jahan mein
matam-zada 'mir' agar na hoga
(532) Peoples Rate This