Ai Gul-e-nau-damida Ke Manind
ai gul-e-nau-damida ke manind
hai tu kis aafrida ke manind
hum ummid-e-wafa pe teri hue
ghuncha-e-dair chida ke manind
KHak ko meri sair kar ke phira
wo ghazal-e-ramida ke manind
sar uThate hi ho gae pamal
sabza-e-nau-damida ke manind
na kaTe raat hijr ki jo na ho
nala tegh-e-kashida ke manind
hum giraftar-e-haal hain apne
tair-e-par-burida ke manind
dil taDapta hai ashk-e-KHunin mein
said-e-dar-KHun tapida ke manind
tujh se yusuf ko kyunke nisbat den
kab shunida ho dida ke manind
'mir'-sahib bhi us ke han the lek
banda-e-zar KHarida ke manind
(636) Peoples Rate This