Ai Dost Koi Mujh Sa Ruswa Na Hua Hoga
ai dost koi mujh sa ruswa na hua hoga
dushman ke bhi dushman par aisa na hua hoga
ab ashk-e-hinai se jo tar na kare mizhgan
wo tujh kaf-e-rangin ka mara na hua hoga
Tak gor-e-ghariban ki kar sair ki duniya mein
un zulm-rasidon par kya kya na hua hoga
be-nala-o-be-zari be-KHastagi-o-KHwari
imroz kabhi apna farda na hua hoga
hai qaeda kulli ye ku-e-mohabbat mein
dil gham jo hua hoga paida na hua hoga
is kohna-KHarabe mein aabaadi na kar munim
yak shahr nahin yan jo sahra na hua hoga
aankhon se teri hum ko hai chashm ki ab howe
jo fitna ki duniya mein barpa na hua hoga
juz martaba-e-kal ko hasil kare hai aaKHir
yak qatra na dekha jo dariya na hua hoga
sad nashtar-e-mizhgan ke lagne se na nikla KHun
aage tujhe 'mir' aisa sauda na hua hoga
(458) Peoples Rate This