Ai Abr-e-tar Tu Aur Kisi Samt Ko Baras
ai abr-e-tar tu aur kisi samt ko baras
is mulk mein hamari hai ye chashm-e-tar hi bas
hirman to dekh phul bikhere thi kal saba
ek barg-e-gul gira na jahan tha mera qafas
mizhgan bhi bah gain mere rone se chashm ki
sailab mauj mare to Thahre hai koi KHas
majnun ka dil hun mahmil-e-laila se hun juda
tanha phirun hun dasht mein jun nala-e-jaras
ai girya us ke dil mein asar KHub hi kiya
rota hun jab main samne us ke tude hai hans
us ki zaban ke ohde se kyunkar nikal sakun
kahta hun ek main to sunata hai mujh ko das
hairan hun 'mir' naza mein ab kya karun bhala
ahwal-e-dil bahut hai mujhe fursat ek nafas
(487) Peoples Rate This