Ab Ke Bhi Sair Bagh Ki Ji Mein Hawas Rahi

ab ke bhi sair bagh ki ji mein hawas rahi

apni jagah bahaar mein kunj-e-qafas rahi

main pa-shikasta ja na saka qafile talak

aati agarche der sada-e-jaras rahi

lutf qaba-e-tang pe gul ka baja hai naz

dekhi nahin hai un ne teri choli chus rahi

din-raat meri aankhon se aansu chale gae

barsat ab ke shahr mein sare baras rahi

KHali shaguftagi se jarahat nahin koi

har zaKHm yan hai jaise kali ho box rahi

diwangi kahan ki gareban se tang hun

gardan meri hai tauq mein goya ki phans rahi

jon subh is chaman mein na hum khul ke hans sake

fursat rahi jo 'mir' bhi so yak-nafas rahi

(433) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ke Bhi Sair Bagh Ki Ji Mein Hawas Rahi In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ab Ke Bhi Sair Bagh Ki Ji Mein Hawas Rahi is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ab Ke Bhi Sair Bagh Ki Ji Mein Hawas Rahi for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ab Ke Bhi Sair Bagh Ki Ji Mein Hawas Rahi in PDF.