Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6aace6e362f827b5ee98de176ee52722, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Jo Ek Hasrat-e-jawani Hai - Mir Taqi Mir Poetry In English - Darsaal

Ab Jo Ek Hasrat-e-jawani Hai

ab jo ek hasrat-e-jawani hai

umr-e-rafta ki ye nishani hai

rashk-e-yusuf hai aah waqt-e-aziz

umr ek bar-e-karwani hai

girya har waqt ka nahin be-hech

dil mein koi gham-e-nihani hai

hum qafas-zad qaidi hain warna

ta chaman ek par-fishani hai

us ki shamshir tez hai hamdam

mar rahenge jo zindagani hai

gham-o-ranj-o-alam niko yan se

sab tumhaari hi mehrbani hai

KHak thi maujzan jahan mein aur

hum ko dhoka ye tha ki pani hai

yan hue 'mir' tum barabar KHak

wan wahi naz o sargirani hai

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Jo Ek Hasrat-e-jawani Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ab Jo Ek Hasrat-e-jawani Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ab Jo Ek Hasrat-e-jawani Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ab Jo Ek Hasrat-e-jawani Hai in PDF.