Ab Haal Apna Uske Hai Dil-KHwah

ab haal apna us ke hai dil-KHwah

kya puchhte ho alhamdulillah

mar jao koi parwa nahin hai

kitna hai maghrur allah allah

pir-e-mughan se be-etiqadi

astaghfirullah astaghfirullah

kahte hain us ke tu munh lagega

ho yun hi yarab jun hai ye afwah

hazrat se us ki jaana kahan hai

ab mar rahega yan banda dargah

sab aql khoe hai rah-e-mohabbat

ho KHizr dil mein kaisa hi gumrah

mujrim hue hum dil de ke warna

kis ko kaso se hoti nahin chah

kya kya na rijhen tum ne pachain

achchha rijhaya ai mehrban aah

guzre hai dekhen kyunkar hamari

us bewafa se ne rasm ne rah

thi KHwahish-e-dil rakhna hamail

gardan mein us ki har gah-o-be-gah

us par ki tha wo shah-e-rag se aqrab

hargiz na pahuncha ye dast-e-kotah

hai ma-siwa kya jo 'mir' kahiye

aagah sare us se hain aagah

jalwe hain us ke shanen hain us ki

kya rose kya KHor kya raat kya mah

zahir ki baatin awwal ki aaKHir

allah allah allah allah

(529) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Haal Apna Uske Hai Dil-KHwah In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ab Haal Apna Uske Hai Dil-KHwah is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ab Haal Apna Uske Hai Dil-KHwah for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ab Haal Apna Uske Hai Dil-KHwah in PDF.