Ab Aankhon Mein KHun Dam-ba-dam Dekhte Hain
ab aankhon mein KHun dam-ba-dam dekhte hain
na puchho jo kuchh rang hum dekhte hain
jo be-aKHtyari yahi hai to qasid
hamin aa ke us ke qadam dekhte hain
gahe dagh rahta hai dil ga jigar KHun
un aankhon se kya kya sitam dekhte hain
agar jaan aankhon mein us bin hai to hum
abhi aur bhi koi dam dekhte hain
likhen haal kya us ko hairat se hum to
gahe kaghaz o gah qalam dekhte hain
wafa-peshgi qais tak thi bhi kuchh kuchh
ab us taur ke log kam dekhte hain
kahan tak bhala rooge 'mir'-sahib
ab aankhon ke gird ek waram dekhte hain
(487) Peoples Rate This