Aao Kabhu To Pas Hamare Bhi Naz Se
aao kabhu to pas hamare bhi naz se
karna suluk KHub hai ahl-e-niyaz se
phirte ho kya daraKHton ke sae mein dur dur
kar lo muwafaqat kisu be-barg-o-saz se
hijran mein us ke zindagi karna bhala na tha
kotahi jo na howe ye umr-e-daraaz se
manind-e-subha uqde na dil ke kabhu khule
ji apna kyun ki uchTe na roze namaz se
karta hai chhed chhed hamara jigar tamam
wo dekhna tera mizha-e-nim-baz se
dil par ho iKHtiyar to hargiz na kariye ishq
parhez kariye is maraz-e-jaan-gudaz se
aage bichha ke nata ko late the tegh o tasht
karte the yani KHun to ek imtiyaz se
mane hon kyun ki girya-e-KHunin ke ishq mein
hai rabt-e-KHas chashm ko ifsha-e-raaz se
shayad sharab-KHane mein shab ko rahe the 'mir'
khele tha ek mughbacha mohr-e-namaz se
(521) Peoples Rate This