Aah-e-sahar Ne Sozish-e-dil Ko MiTa Diya
aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko miTa diya
us baw ne hamein to diya sa bujha diya
samjhi na baad subh ki aa kar uTha diya
is fitna-e-zamana ko nahaq jaga diya
poshida raaz-e-ishq chala jae tha sau aaj
be-taqati ne dil ki wo parda uTha diya
us mauj-KHez dahr mein hum ko qaza ne aah
pani ke bulbule ki tarah se miTa diya
thi lag us ki tegh ko hum se sau ishq ne
donon ko marke mein gale se mila diya
sab shor-e-ma-o-man ko liye sar mein mar gae
yaron ko is fasane ne aaKHir sula diya
aawargan-e-ishq ka puchha jo mein nishan
musht-e-ghubar le ke saba ne uDa diya
ajza badan ke jitne the pani ho bah gae
aaKHir gudaz ishq ne hum ko baha diya
kya kuchh na tha azal mein na tala jo the durust
hum ko dil-shikasta qaza ne dila diya
goya muhasba mujhe dena tha ishq ka
us taur dil si chiz ko main ne laga diya
muddat rahegi yaad tere chehre ki jhalak
jalwe ko jis ne mah ke ji se bhula diya
hum ne to sadgi se kya ji ka bhi ziyan
dil jo diya tha so to diya sar juda diya
boi kabab soKHta aai dimagh mein
shayad jigar bhi aatish-e-gham ne jila diya
taklif dard-e-dil ki abas ham-nashin ne ki
dard-e-suKHan ne mere sabhon ko rula diya
un ne to tegh khinchi thi par ji chala ke 'mir'
hum ne bhi ek dam mein tamasha dikha diya
(453) Peoples Rate This