Aah Aur Ashk Hi Sada Hai Yan
aah aur ashk hi sada hai yan
rose barsat ki hawa hai yan
jis jagah ho zamin tafta samajh
ki koi dil-jala gaDa hai yan
go kudurat se wo na dewe ro
aarsi ki tarah safa hai yan
har ghaDi dekhte jo ho idhar
aisa ki tum ne aa nikla hai yan
rind muflis jigar mein aah nahin
jaan mahzun hai aur kya hai yan
kaise kaise makan hain suthre
ek azan jumla karbala hai yan
ek sisakta hai ek marta hai
har taraf zulm ho raha hai yan
sad tamanna shahid hain yakja
sina-kubi hai taziya hai yan
didani hai gharaz ye sohbat shoKH
roz-o-shab tarfa majra hai yan
KHana-e-ashiqan hai ja-e-KHub
jae rone ki ja-ba-ja hai yan
koh-o-sahra bhi kar na jae bash
aaj tak koi bhi raha hai yan
hai KHabar shart 'mir' sunta hai
tujh se aage ye kuchh hua hai yan
maut majnun ko bhi yahin aai
kohkan kal hi mar gaya hai yan
(547) Peoples Rate This