Aage Jamal-e-yar Ke Mazur Ho Gaya
aage jamal-e-yar ke mazur ho gaya
gul ek chaman mein dida-e-be-nur ho gaya
ek chashm-e-muntazar hai ki dekhe hai kab se rah
jon zaKHm teri duri mein nasur ho gaya
qismat to dekh shaiKH ko jab lahar aai tab
darwaza shira KHane ka mamur ho gaya
pahuncha qarib marg ke wo said-e-na-qubul
jo teri said-e-gah se Tak dur ho gaya
dekha ye naw-nosh ki nish-e-firaq se
sina tamam KHana-e-zambur ho gaya
is mah-e-chaardah ka chhape ishq kyunke aah
ab to tamam shahr mein mashhur ho gaya
shayad kaso ke dil ko lagi us gali mein choT
meri baghal mein shisha-e-dil chur ho gaya
lasha mera tasalli na zer-e-zamin hua
jab tak na aan kar wo sar-e-gor ho gaya
dekha jo main ne yar to wo 'mir' hi nahin
tere gham-e-firaq mein ranjur ho gaya
(483) Peoples Rate This