UTha Shoala Sa Qalb-e-na-tawan Se
uTha shoala sa qalb-e-na-tawan se
hawa aai kabhi jo shahr-e-jaan se
hamari samt bhi chashm-e-inayat
teri KHatir bane hain nim-jaan se
shikayat us se hai jis par fida hun
mujhe shikwa nahin sare jahan se
nigahon se ada karte ho matlab
kahan kahte ho kuchh apni zaban se
tumhin the ya wo parchhain tumhaari
abhi bijli si jo guzri yahan se
koi sani nahin us ka jahan mein
mujhe nisbat hai jis sarw-e-rawan se
musibat-ashna yun hi nahin main
juda main bhi hui hun karwan se
udasi kis liye phaili hui hai
uTha hai kaun aaKHir darmiyan se
idhar aa aashna-e-raaz-e-fitrat
sada aati hai dasht-e-be-karan se
(652) Peoples Rate This