Tumhaari Be-adai Ke Maze Aane Lage Mujhko
tumhaari be-adai ke maze aane lage mujh ko
jo mere dushman-e-jaan the wo samjhane lage mujh ko
teri furqat mein haalat ho gai hai aaj wo meri
ye mere chaara-gar zanjir pahnane lage mujh ko
KHudaya dekh kar un ko mujhe tujh par yaqin aaya
unhin mein to tere jalwe nazar aane lage mujh ko
diye ashkon ke palkon ki munDeron par hue raushan
kabhi jo sham-e-hijran aap yaad aane lage mujh ko
natija dil ke samjhane ka nikle bhi to kya nikle
use samjhane jo baiThun wo samjhane lage mujh ko
na jin ke jism par sar hai na chehra hai na aankhen hain
qayamat hai wahi aaina dikhlane lage mujh ko
jo patthar phenkne walon ko main ne ghaur se dekha
bahut se log un mein jaane pahchane lage mujh ko
(552) Peoples Rate This