Tera Arman Teri Hasrat Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin
tera arman teri hasrat ke siwa kuchh bhi nahin
dil mein ab teri mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
zindagi mujh ko kahan le ke chali aai hai
dur tak saya-e-zulmat ke siwa kuchh bhi nahin
har taraf phul haqiqat ke khile hain lekin
aankh mein KHwab-e-haqiqat ke siwa kuchh bhi nahin
yun tere gham mein hun pamal ki lagta hai mujhe
zindagi jaise aziyyat ke siwa kuchh bhi nahin
rah gai dab ke mere dil hi mein ummid-e-visal
ab malal-e-shab-e-furqat ke siwa kuchh bhi nahin
baat kya hai ki mere doston ke hathon mein
sang-e-dushnam-o-malamat ke siwa kuchh bhi nahin
sher kahte ho to ye baat bhi nazron mein rahe
shairi sharh-e-tabiat ke siwa kuchh bhi nahin
(506) Peoples Rate This