Kuchh To KHudi Ka Rang Hai Kuchh Be-KHudi Ka Rang
kuchh to KHudi ka rang hai kuchh be-KHudi ka rang
donon ka imtizaj hai ye zindagi ka rang
pesh-e-nigah mere hazaron hi rang the
dil ne kiya pasand magar aap hi ka rang
ye hai fareb-e-chashm ki ye dil ka wahima
har gul mein dekhti hun gul-e-kaghzi ka rang
us ko bhulae garche zamana guzar gaya
aata hai yaad aaj bhi mujh ko usi ka rang
rangin hai jis ke dam se meri kaenat-e-dil
wo hai jamal-e-yar ki tabindagi ka rang
aahen bharega kab koi phulon ko dekh kar
aaega kab kisi mein bhala dilbari ka rang
is mein hai rang tere ruKH-e-be-misal ka
sab se juda ho kyun na meri shairi ka rang
(564) Peoples Rate This