But Ki Manind Na Apne Ko Banae Rakhna
but ki manind na apne ko banae rakhna
jis jagah rahna wahan dhum machae rakhna
KHud ko dariya mein na qatron sa milae rakhna
munfarid hone ka ehsas dilae rakhna
kaam farzana-e-duniya ka nahin ai naseh
parcham-e-ishq zamane mein uThae rakhna
chashm-e-maKHluq hai mizan-e-raza-e-maula
chashm-e-maKHluq mein KHud ko na girae rakhna
tujh ko dena ho agar zulmat-e-hijran ko shikast
shama bujh jae magar dil na bujhae rakhna
qalb-e-KHuddar ki KHatir to hai zillat ka sabab
lau sada us but-e-kafir se lagae rakhna
jis se milti ho har ek lahza ghazal ki KHushbu
sehn-e-ehsas mein wo phul khilae rakhna
mere dil ko to kisi haal mein manzur nahin
fikr-e-duniya mein teri yaad bhulae rakhna
(479) Peoples Rate This