Aaiye Aaj Aap Se Kuchh Raaz Ki Baaten Karen
aaiye aaj aap se kuchh raaz ki baaten karen
us hasin us ki nigah-e-naz ki baaten karen
wo ki jis ne muskura ke kah diya tha haal-e-dil
us tabassum us hasin andaz ki baaten karen
tha wo bachpan ya jawani jab suna tha nam-e-ishq
aaj phir un ajnabi alfaz ki baaten karen
yaad hai ab tak hamein sahma sa wo izhaar-e-ishq
band aankhen kanpti aawaz ki baaten karen
thak gae duniya ki KHatir KHud ko de de kar fareb
aaj phir apne dil-e-na-saz ki baaten karen
hai bahut mayus ye dil dekh kar anjam-e-ishq
phir bhi hum ai ham-nashin aaghaz ki baaten karen
hijr ki rut sahn-e-jism-o-jaan se ruKHsat ho gai
KHushnuma mausam hai ab hum raaz ki baaten karen
(573) Peoples Rate This