Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cbc8dd89e336c4dd8331d99fb687acb4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tum Mil Gae To Koi Gila Ab Nahin Raha - Midhat-ul-Akhtar Poetry In English - Darsaal

Tum Mil Gae To Koi Gila Ab Nahin Raha

tum mil gae to koi gila ab nahin raha

main apni zindagi se KHafa ab nahin raha

pahle meri nigah mein duniya haqir thi

main apne sathiyon se juda ab nahin raha

ab bhi usi daraKHt ke niche milenge hum

saya agarche us ka ghana ab nahin raha

tere qadam ne jaan kahani mein Dal di

qissa hamara be-sar-o-pa ab nahin raha

ab meri apne aaKHiri dushman se jang hai

maidan mein koi mere siwa ab nahin raha

hum ko usi dayar ki miTTi hui aziz

naqshe mein jis ka nam-pata ab nahin raha

(428) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Mil Gae To Koi Gila Ab Nahin Raha In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Tum Mil Gae To Koi Gila Ab Nahin Raha is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Tum Mil Gae To Koi Gila Ab Nahin Raha for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Tum Mil Gae To Koi Gila Ab Nahin Raha in PDF.