Tishnagi Apni Bujhane Ke Liye Jab Gae Hain
tishnagi apni bujhane ke liye jab gae hain
dasht bechaare samundar ke tale dab gae hain
kuch karne ki ghaDi hai magar ai ham-safro
hum udhar ja nahin sakte jidhar sab gae hain
ghair shaista-e-adab-e-mohabbat na sahi
hum tere hijr ke aazar mein mar kab gae hain
ab koi aks hai salim na kisi ka chehra
aaina-KHane mein kya dekhne sahab gae hain
koi rasta na mila ghar se nikal kar hum ko
hum usi ku-e-malamat ko gae jab gae hain
teri auqat hi kya 'midhat-ul-aKHtar' sun le
shahr ke shahr zaminon ke tale dab gae hain
(394) Peoples Rate This