Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8ccd67c0603e3d2b4dbc7ece4308f75d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Naqsh Dil Se Na MiTa Zarra Barabar Us Ka - Midhat-ul-Akhtar Poetry In English - Darsaal

Naqsh Dil Se Na MiTa Zarra Barabar Us Ka

naqsh dil se na miTa zarra barabar us ka

sabt hai aaj bhi diwar pe paikar us ka

main ne sahil se use Dubte dekha tha faqat

mujhe gharqab karega yahi manzar us ka

aks bhi dida-e-qatil mein lahu ban ke raha

qatl ho kar bhi jama rang barabar us ka

karb-e-tanhai zara ruh se nikle to sahi

muntazir hai koi is dasht ke bahar us ka

ja chuka wo to samundar ki tahon mein 'midhat'

baiTh kar ret pe ab nam likha kar us ka

(490) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqsh Dil Se Na MiTa Zarra Barabar Us Ka In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Naqsh Dil Se Na MiTa Zarra Barabar Us Ka is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Naqsh Dil Se Na MiTa Zarra Barabar Us Ka for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Naqsh Dil Se Na MiTa Zarra Barabar Us Ka in PDF.