Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dd3a1a29d9dbacdfcd1f37ffc1790f79, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main To Apne Aapko Pahchanna Hi Chahta Hun - Midhat-ul-Akhtar Poetry In English - Darsaal

Main To Apne Aapko Pahchanna Hi Chahta Hun

main to apne aap ko pahchanna hi chahta hun

jaanta jo kuchh nahin wo jaanna hi chahta hun

sau farishte le ke mere pas aaen jo sahifa

us ko apni chhalniyon mein channa hi chahta hun

saikaDon suraj khaDe hain aaina dar dast lekin

sar pe zulmat ki rida main tanna hi chahta hun

jo mere maujud mein hai aur la-maujud mein

jaan sakta hi nahin aur jaanna hi chahta hun

main jo dushman ke bulawe par nikal aaya hun 'midhat'

bar-sar-e-maidan mein kuchh Thanna hi chahta hun

(410) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main To Apne Aapko Pahchanna Hi Chahta Hun In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Main To Apne Aapko Pahchanna Hi Chahta Hun is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Main To Apne Aapko Pahchanna Hi Chahta Hun for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Main To Apne Aapko Pahchanna Hi Chahta Hun in PDF.