KHaksari Kijiye Ya Shahryari Kijiye
KHaksari kijiye ya shahryari kijiye
hum gharibon mein kuchh apna faiz jari kijiye
jin se kuchh hasil nahin tabir-KHwahi ke siwa
aise KHwabon mein basar kyun raat sari kijiye
jo hamara haal hai us se alag un ka nahin
sakinan-e-shahr se kya parda-dari kijiye
aap jo kahte hain wo karte nahin malum hai
pyar kar sakte nahin baaten to pyari kijiye
aaen bhi tashrif le aaen yahi dastur hai
baiTh kar mere sirhane gham-gusari kijiye
chum kar hum chhoD denge ye guman sachcha nahin
aap apni chah ka patthar na bhaari kijiye
hum yun hi mar jaenge kafi hai ishaara aap ka
aankh ko KHanjar na abru ko kaTari kijiye
kusht-gan-e-KHanjar taslim kahlate hain kyun
kuchh taDap dikhlaiye kuchh be-qarari kijiye
hum bure hain ya bhale mahsus KHud ko bhi na ho
thoDi apne aap se bhi hoshyari kijiye
sarkashan-e-ishq phir aamada-e-fariyaad hain
phir koi farman-e-qatl-e-am jari kijiye
(441) Peoples Rate This