Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_94fab58d49459e3bf50b649c1d9df088, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Kal Na Tha Wo Aaj Hai Ai Ham-shabih-e-man - Midhat-ul-Akhtar Poetry In English - Darsaal

Jo Kal Na Tha Wo Aaj Hai Ai Ham-shabih-e-man

jo kal na tha wo aaj hai ai ham-shabih-e-man

ab is ka kya ilaj hai ai ham-shabih-e-man

aankhon mein ashk lab pe hansi tis pe be-hisi

ye kaisa imtizaj hai ai ham-shabih-e-man

hans ke milo har ek se jis haal mein milo

is shahr ka riwaj hai ai ham-shabih-e-man

dekha hai koi KHwab azizan-e-shahr ne

kai sal ka anaj hai ai ham-shabih-e-man

sab log mutmain hain koi be-kali nahin

ye kaun sa samaj hai ai ham-shabih-e-man

main ne kaha na tha ki yahan qadr-e-dil nahin

kyun is pe bad-mizaj hai ai ham-shabih-e-man

(471) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Kal Na Tha Wo Aaj Hai Ai Ham-shabih-e-man In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Jo Kal Na Tha Wo Aaj Hai Ai Ham-shabih-e-man is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Jo Kal Na Tha Wo Aaj Hai Ai Ham-shabih-e-man for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Jo Kal Na Tha Wo Aaj Hai Ai Ham-shabih-e-man in PDF.