Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bddrkcuhoahv1348t2d91kvin2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dasht Se Main Jo Apne Ghar Aaya - Midhat-ul-Akhtar Poetry In English - Darsaal

Dasht Se Main Jo Apne Ghar Aaya

dasht se main jo apne ghar aaya

mere dil mein KHuda utar aaya

jis ki qimat na de saka koi

mere hisse mein wo guhar aaya

sari duniya hai rah par meri

jab se main teri rah par aaya

kitne patthar hain samne lekin

but-gari ka kise hunar aaya

kis ne duniya ko zindagi de di

maut ka dil bhi aaj bhar aaya

phir dar-o-baam ho gae rangin

phir lahu mera mauj par aaya

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht Se Main Jo Apne Ghar Aaya In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Dasht Se Main Jo Apne Ghar Aaya is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Dasht Se Main Jo Apne Ghar Aaya for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Dasht Se Main Jo Apne Ghar Aaya in PDF.