Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c992aaae9eb9eb06121c264e9457a438, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nahin Misal Koi Aisa Be-misal Badan - Meraj Naqvi Poetry In English - Darsaal

Nahin Misal Koi Aisa Be-misal Badan

nahin misal koi aisa be-misal badan

hai KHud jawab wo apna hai KHud sawal badan

mahaz-e-jang-e-wafa pe shikast-e-ishq ke baad

paDa hai dasht mein ab tak wo paemal badan

tilism-e-kun-fayakun kis ne paDh ke phunk diya

zara si KHak hui kaisa ba-kamal badan

tere badan ki masafat ko tai kiya to magar

paDa hua hai abhi tak mera niDhaal badan

shuur-o-fikr pe ghaalib hai jism ka mausam

har ek KHwab badan hai har ek KHayal badan

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Misal Koi Aisa Be-misal Badan In English By Famous Poet Meraj Naqvi. Nahin Misal Koi Aisa Be-misal Badan is written by Meraj Naqvi. Read famous Poem Nahin Misal Koi Aisa Be-misal Badan for youth and Student by Meraj Naqvi. Free Download Nahin Misal Koi Aisa Be-misal Badan in PDF.