Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8824bb820b3546f4290f65458eec6c34, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagi Di Hai To Jine Ka Hunar Bhi Dena - Meraj Faizabadi Poetry In English - Darsaal

Zindagi Di Hai To Jine Ka Hunar Bhi Dena

zindagi di hai to jine ka hunar bhi dena

panw baKHshen hain to taufiq-e-safar bhi dena

guftugu tu ne sikhai hai ki main gunga tha

ab main bolunga to baaton mein asar bhi dena

main to is KHana-badoshi mein bhi KHush hun lekin

agli naslen to na bhaTken unhen ghar bhi dena

zulm aur sabr ka ye khel mukammal ho jae

us ko KHanjar jo diya hai mujhe sar bhi dena

(5488) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Di Hai To Jine Ka Hunar Bhi Dena In English By Famous Poet Meraj Faizabadi. Zindagi Di Hai To Jine Ka Hunar Bhi Dena is written by Meraj Faizabadi. Read famous Poem Zindagi Di Hai To Jine Ka Hunar Bhi Dena for youth and Student by Meraj Faizabadi. Free Download Zindagi Di Hai To Jine Ka Hunar Bhi Dena in PDF.