Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b27801addaa2eb3a02ef4bdcba94aa7d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Thaki Hui Mamta Ki Qimat Laga Rahe Hain - Meraj Faizabadi Poetry In English - Darsaal

Thaki Hui Mamta Ki Qimat Laga Rahe Hain

thaki hui mamta ki qimat laga rahe hain

amir beTe dua ki qimat laga rahe hain

main jin ko ungli pakaD ke chalna sikha chuka hun

wo aaj mere asa ki qimat laga rahe hain

meri zarurat ne fan ko nilam kar diya hai

to log meri ana ki qimat laga rahe hain

main aandhiyon se musalahat kaise kar sakunga

charagh mere hawa ki qimat laga rahe hain

yahan pe 'meraj' tere lafzon ki aabru kya

ye log bang-e-dara ki qimat laga rahe hain

(1492) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thaki Hui Mamta Ki Qimat Laga Rahe Hain In English By Famous Poet Meraj Faizabadi. Thaki Hui Mamta Ki Qimat Laga Rahe Hain is written by Meraj Faizabadi. Read famous Poem Thaki Hui Mamta Ki Qimat Laga Rahe Hain for youth and Student by Meraj Faizabadi. Free Download Thaki Hui Mamta Ki Qimat Laga Rahe Hain in PDF.