Gunge Lafzon Ka Ye Be-samt Safar Mera Hai
gunge lafzon ka ye be-samt safar mera hai
guftugu us ki hai lahje mein asar mera hai
main ne khoe hain yahan apne sunahre shab o roz
dar-o-diwar kisi ke hon ye ghar mera hai
mera aslaf se rishta to na toD ai duniya
sab mahal tere hain lekin ye khanDar mera hai
aati jati hui faslon ka muhafiz hun main
phal to sab us ki amanat hain shajar mera hai
mere aangan ke muqaddar mein andhera hi sahi
ek charagh ab bhi sar-e-rahguzar mera hai
dur tak dar-o-rasan dar-o-rasan dar-o-rasan
aaise haalat mein jina bhi hunar mera hai
jab bhi talwar uThata hun ki chheDun koi jang
aisa lagta hai ki har shane pe sar mera hai
(1605) Peoples Rate This