Ek TuTi Hui Zanjir Ki Fariyaad Hain Hum
ek TuTi hui zanjir ki fariyaad hain hum
aur duniya ye samajhti hai ki aazad hain hum
kyun hamein log samajhte hain yahan pardesi
ek muddat se isi shahr mein aabaad hain hum
kahe ka tark-e-watan kahe ki hijrat baba
isi dharti ki isi desh ki aulad hain hum
hum bhi tamir-e-watan mein hain barabar ke sharik
dar-o-diwar agar tum ho to buniyaad hain hum
hum ko is daur-e-taraqqi ne diya kya 'mearaj'
kal bhi barbaad the aur aaj bhi barbaad hain hum
(2492) Peoples Rate This