Charag Apni Thakan Ki Koi Safai Na De
charag apni thakan ki koi safai na de
wo tirgi hai ki ab KHwab tak dikhai na de
masarraton mein bhi jage gunah ka ehsas
mere wajud ko itni bhi parsai na de
bahut satate hain rishte jo TuT jate hain
KHuda kisi ko bhi taufiq-e-ashnai na de
main sari umr andheron mein kaT sakta hun
mere diyon ko magar raushni parai na de
agar yahi teri duniya ka haal hai malik
to meri qaid bhali hai mujhe rihai na de
dua ye mangi hai sahme hue muarriKH ne
ki ab qalam ko KHuda surKH raushnai na de
(4476) Peoples Rate This